Adhoore khawabon k khasta kaghaz sanmbhaal rakhna hisaab hoga
Wafa ke rishtey jafa ki rut main bahaal rakhna hisaab hoga

Sunehrey jazbon ki qadar karna nafraton mein waqar rakhna
Andhair nagri mein dil jala ke khayal rakhna hisaab hoga

Muhabbaton ke safeer ban kar jo chahaton ke naqeeb ban'na
Raah e wafa mein na tum kisi ...se malaal rakhna hisaab hoga

Zamaane bhar ki yeh talkhiyan kyun,yeh jabar kaisa yeh sabar kaisa
Mere liye tum bas apne lab pe Sawal rakhna hisaab hoga.