Wednesday 5 October 2011

[~>VU-P!nD!<~] Aankh chupke se



-- 

 
Aankh chupke se bata'ti hai jise be'khwabi
Us ki jaanib se chali aaye koi be'taabi

Sheeshe ko torne walo abhi pather dhondo
Mujhko mahtab ne laa di hai meri shaadabi

Eik mausam hai ke utra hai nazare leker
Jaan'lewa thi paharon pe jami barfaabi

Kyon zamanat ko uttha lai mein apne jugnu
Kaun dekhe ga meri raqs bhari paa'yabi

Munharif tau nahein un se mein anaa ki khaatir
Lutf letey hain wo de de ke mujhe teizaabi

Talkhiyon ka mere dil ka nahein koi naata
Chotay se ghar mein rishton ki bari seiraabi

Khauf se pheil gaye hain mere naina lekin
Khush'bayani se mit'tani hai mujhe zehraabi








کسی دشمن کے سو الفاظ تکلیف نہیں دیتے 
مگر ایک دوست کی خاموشی سو آنسو دے سکتی ہے


  



           VU Club






--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "vupindi" group.
To post to this group, send email to vupindi@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
vupindi+unsubscribe@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/vupindi?hl=en

No comments:

Post a Comment