Sunday 23 October 2011

[~>VU-P!nD!<~] *1332...sTark_e_Ulfat...Pak Old*




*1332...Tark_e_Ulfat...Pak Old*

Tark_e_ulfat ka silah pa bhi liya hai main ney

Ab to aa ja k tujhey yaad kiya hai main ney

Aa saki teri judai na kabhi raas mujhey

Tuj se bichara to yeh honey laga ahsaas mujhey

Apney hathoon se koi zahir piya hai main ney

Gungunati hai wafa rouh main rimjhim ki tarah

Samney apney khara houn kisi mujrem ki tarah

Aaj to sharm se moun dhanp liya hai main ney

Jo bhi shikwa hai bhulana hi parey ga tuj ko

Ek na ek rooz to ana hi parey ga tuj ko

Dil ka darwaza khula choor deya hai main ney

No comments:

Post a Comment