Thursday 20 October 2011

[~>VU-P!nD!<~] 1331~*Zindagi ki Rahoon Main*~Pak Old Original Poetry...




1331~*Zindagi ki Rahoon Main*~Pak Old Original Poetry...

Zindagi ki rahoon main ranjo gham k meley hain
Bhire hay kiyamat ki aur hum akely hain
 
Ab to apna saya bhi kho gaya andheron main
Aap se bhichar kar hum kisqadar akely hain
 
Sazisheen zamane ki kaam kar gayeen akhir
Aap hain udar tanha hum idar akely hain
 
kah rahi hay shahoon se kabar ki yeh tanhayi
Taaj o tahakt k malik aaj kyun akely hain
 
Ainey k so tukrey kar k hum ne dekha hay
Aik main bhi tanha the soo main bhi akely hain

~@~@~R*u*k*h*s*a*n*a~@~@~

No comments:

Post a Comment