Labon pe phool khiltay hain

kisi ke naam se pahle

dilon ke deep jalte hain

charagh-e shaam se pahle


kabhi manzar badalne par

bhi qissa chal nahin pata

kahani khatam hoti hai kabhi

anjaam se pahle


yahi taare tumhaari aankh ki

chilman mein rehte the

yahi sooraj nikalta thaa

tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main

parinde laut.te honge

ab in ko kis tarah rokain

nawaah-e-daam se pahle


ya saare rang murdaa the

tumhaari shakl banne tak

ya saare harf muhmal the

tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou

Amjad ihtiyataN ham

sazaa tasleem karte hain

kisi ilzam se pahle