Thursday 4 August 2011

[~>VU-P!nD!<~] 1301~*Kis Muqaam Se*~Pak Old...

1301~*Kis Muqaam Se*~Pak Old...

green stairs tadapani

Kisi kitab main shamil na main nasab main houn

Magar main ishq wa wafa k har ek baab main houn

Tars geya houn laboon se adaegi k liye

Main haruf haruf main bikhra bare azaab main houn

Najane abhi aur abhi kis muqaam se guzron

Abhi to sang ki surat rah kharab main houn

Main haq shanas houn, haq goi hay mera shewa

Yehi sabab hay k main waqt k ataab main houn

Zamana lakh gerae nigah se muj ko

Yeh bohot hay teri chacham_e_intakhab main houn

Main ek nagma rangeen se kam naheen "Hasrat"

Yeh aur baat k soya huwa rubab main houn

~@~@~R*u*k*h*s*a*n*a~@~@~

No comments:

Post a Comment