Sunday 31 July 2011

[~>VU-P!nD!<~] Dard-e-Dil

Bheegi aankho se muskurane me maza aur hai,
Haste haste palke bhigane me maza aur hai,
Baat khehke toh koi bhi samjhe,
Khamoshi ko koi samjhe toh maza aur hai???.

Kanta na hota, toh phool ki hefazath na hoti,
Andhera na hota,to roshini ki zarurath na hoti,
Agar mil jati har khushi duniya me,
Toh dil ki mulaqath dard se na hoti

Kaash koi khushiyon ki dukaan hoti,
Aur mujh uski pehchan hoti,
Kharid leti har khushi aapke liye,
Chahe uski keemath meri jaan bhi hoti?

Juda rehkar bhi woh satane se baaz nai ate,
Dur rehkar bhi who dil jalane se baaz nahi ate,
Khud toh so jate hai chain se magar,
Khwab me aane se bhi wo baaz nahi aate???

Rishton ki yeh duniya hai niraali,
Sab rishton se pyaari hai tumhaari,
Manzoor hai aansu bhi aankhon me hamari,
Agar aajaye muskaan honton pe tumhari???


--



















                        ...RAJA KHAN...




--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "vupindi" group.
To post to this group, send email to vupindi@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
vupindi+unsubscribe@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/vupindi?hl=en

No comments:

Post a Comment