Saturday, 7 January 2012

[~>VU-P!nD!<~] ~*Hazrat Ali RA k Irshadaat*~






 
1.. "Jub tumhara dil zang aalood ho jaey toe dil say zang saaf kernay k liay do (2) kaam kero... Kasrat say mout ko yaad kero or kasrat say Quran ki tilawat kero."


2.."Naiki k siwa koi cheez umr ko nahi barha sakti, Sadqay k siwa koi cheez museebat ko nahi taal sakti, zakat k siwa koi cheez maal ko paak nahi ker sakti or Khuda k khoaf say tanhaii main ronay k siwa koi cheez Allah ki narazgi ko nahi mita sakti."

3.."Momin ko zaleel kernay k liay ayb mat dhoondho, werna Allah (s.w.t) tumhain gher baithay he zaleel ker daiga."

4.."Zulm k khilaaf jitni dair say uthho gay utni he ziada qurbani daini peray gi."

5.."Logoan k khoaf may aa ker haq goii say na rukna. Ya rakho! Allah (s.w.t) k siva na toe koi maut ko qareeb ker sakta hai or na koi rizq ko door ker sakta hai."

6.."Duniya main ager sachi zuban, amanat dari, Khush ikhlaqi, or rizq e halaal tumharay paas hai toe tumhain kabhi nuqsan nahi hoga."

7.."Ikhlaq wo cheez hai jiski qeemat kuchh nahi deni perti magar is say her cheez khareedi ja sakti hai."

8.."Ay Allah k banday duniya main reh ker apnay deen ki fikr ker yeh duniya khud ba khud zaleel ho ker teray qadmoan main aa ker jhukay gi."

9.."Jo shakhs baghair mehnat o mushaqqat kiay wus'at e rizq ki dua keray uski dua qabool nahi hogi."

10.."Aql, Deen, Adab, Haya or Khush Iklaqi... Jis shakhs main yeh paanch cheezain na hon woh mufeed insaan nahi hai."

11.."Aansu us waqt muqqaddas ho jatay hain jub wo kisi k dukh or takleef ko mehsoos ker k niklain."

12.."Jub gunahoan k bawajood Allah ki naymatain musalsal tumhain milti rahain toe hoshiyaar ho jana k tumhara hisaab qareeb or sakht tareen hai''.


--









Aik Hi Dar Ho To Sajdon Main Maza Ata hy,,

     

Bhattaktay Rehte Hain woh Log Jin k Laakh khuda Hotay 

Hain.




     Apply For Group Membership 

 



--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "vupindi" group.
To post to this group, send email to vupindi@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
vupindi+unsubscribe@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/vupindi?hl=en

No comments:

Post a Comment