Wednesday, 21 September 2011

[~>VU-P!nD!<~] Ager sehra se guzro to (its 4 u)



Ager sehra se guzro to
Mere sahir se keh dena

Tumhari be-sabab doori
Mujhe akser rulati hai




Mere sahir se keh dena
Musafir aaj tak chup hai

K us ke haath main tum ne jo apna haath rakha tha
Wo ab tak yaad kerta hai




Mere sahir se keh dena
K sadiyon ki musafat ne mere pairon se baandhi hai

Thakan ab k baras itni k apni doobti nabzon se
Main khaif sa rehta hon




Na jaane kub kahan pe
Umar ki yeh dour kat jaye

Main apne aur tumhare beech k in fasilon ko
Chand sanson ki kami se haar na jaon

Bisaat-e-jaan pe phaili dooriyon k bojh ko le ker
Youn he chup-chaap mar jaon




Mere sahir se keh dena
K us k ishq k talism se ab tak wo nahi nikle

K jis ko us ki aankhon ne faqat aik baar he dekha
Mere sahir se keh dena

K saare shaher ko mere youn he pathar na rehne de
Mere talism-kadon main lout ker aaye

K wo pathar taraste hain
Tumhari chashm ki jumbish

Unhain ik baar phir ker de kisi zee-rooh ki manind



Mere sahir se keh dena
Bicharr ker tum jo milte thay to youn mahsoos hota tha

K jese marg k dhundle kinaron tak pohanchte he
Adhoora kaam koi zindagi ko yaad aa jaye




Kaho phir se chala aaye
K us ke lout aane se

Humari doobti nabzon ko wese he kabhi to saans aa jaye
Ager sehra se guzro to

Mere sahir se keh dena
Ager jungle se guzro to

Mere jUgnoo se keh dena



Tumhari be-sabab doori mujhe akser rulati hai
Meri shaamen andheri hain

Meri raaten bhi teera hain
Mere sub taaq khali hain

Meri aankhen sawali hain



Mere jugnoo se keh dena
Mohabbat aaj tak chup hai

K is ke haath main us ne jo dehka daagh rakha tha
Wo ab tak baat kerta hai




Mere jugnoo se keh dena
Mere jazbon ne raahon main

Mohaaren rok rakhi hain
Inhen izn-e-safar de do

Inhen dil se guzarne do



Mere jugnoo se keh dena
Meri aankhon ko "Qum" keh do

Ye umron se youn he be-jaan hain
Khwabon k madfan main inhen phir se jila de do




Mere jugnoo se keh dena
Ghamon ne raag chairra hai

Aziyat raqs kerti hai
Meri tanhai ka charcha

Daroon-e-zaat phaila hai



Mere jugnoo se keh dena
Faqat us ki kami se zindagi main sog rakha hai

Mere jugnoo se keh dena
Kyon jungle main bhatakta hai

Kyon khud ko rok rakha hai
Tumhari be-sabab doori mujhe akser rulati hai




Ager jungle se guzro to
Mere jugnoo se keh dena

Ager sehra se guzro to
Mere sahir se keh dena

Mere sahir se keh dena..

--




--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "vupindi" group.
To post to this group, send email to vupindi@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
vupindi+unsubscribe@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/vupindi?hl=en

No comments:

Post a Comment