durood ki fazilat
[1] Darood gunaho ka kafara hai
[2] Darood se amal pak hota hai
[3] Darood padhne se darajat buland hote hai
[4] Darood padhne ke liye ek qirat ajar likha jata jo ke uhud pahad jitna hota hai
[5] Darood padhne wale ko pemane bhar bhar ke sawab milta hai
[6]Jo shakash darood ko hi apna wazeefa bana leta hai Allah pak us ke duniya aur aakhirat ke kaam apne zime le leta hai
[7] Darood padhne ka sawab ghulam azad karne se bhi afzal hai
[8] Darood padhne wala har kisam ke haulo se nijat pata hai
[9] Waliye do jahan nabi (Salallaho Alehi Wassalam) darood padhne wale ke imaan ki khud gawahi denge
[10] Darood padhne wale par Aqa do jahan ki shifa'at wajib hojati hai
[11] Darood padhne wale ke liye Allah Ta'ala ki raza aur rehmat likh di jaati hai
[12] Allah Ta'ala ke ghazab se aman likh diya jata hai
[13] Us ki peshani pe likh diya jata hai ke yeh nifaq se bari hai
[14] Likh diya jata hai ke yeh dozakh se bari hai
[15] Darood padhne wale ko roz-e-hashar Arsh-e-Ilahi Ke neeche jagah di jayegi
[16] Darood padhne wale ki nekiyoun ka pallada wazani hoga
[17] Darood padhne wale ke liye jab woh Hoz-e-Kausar par jayega tab khasosi inayat hogi
[18] Darood padhne wala qayamat ke din sakhat pyaas se aman mai hoga
[19] Woh pul siraat se tezi aur asani se guzar jayega
[20] Pul sirat par use noor ata hoga
--
...:::Group Rules:::...
http://groups.google.com.pk/group/vu-pink/web/group-rules
^^^^^^
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "vu pink" group.
To post to this group, send email to vu-pink@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
vu-pink+unsubscribe@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com.pk/group/vu-pink?hl=en
No comments:
Post a Comment