andhere mein dil ke chiragh-e-mohabbat yeh kiss ne jalaya savere savere
tasawwur ke suraj ki aik aik kiran se naya noor paya savere savere
lagan jis ke dedar ki lag rahi thi qareeb aur aaya savere savere
kisi gham ke nale jo khuwaja piya ko tarap ker bulaya savere savere
khazana mohammad ka haathon mein le ker waheen un ko paaya savere savere
ghalat hein ke bazar-e-ishq-o-mohabbat kabhi aashiqo ke samajh mein na aaya
khara maal hai to khare daam de ga aata-e-mohammad hai zehra ka jaya
ghareebo ke data hein mash'hoor khwaja koi hind mein un ka sani na paya
aqidat ki mandi ka basra diye hein isha parh ke gar haajti mein lagaya
ibadat ka sauda andhere andhere munafa kamaya savere savere
muqaddas yoon samjhi kayi momino ne saher ki tiaa'at saher ki ibadat
farishte azaan-e-saher sun ke taqseem karte hein bando ko qudrat ki naimat
namaz-e-sehr mein namazi ke sir pe barasti hai masjid mein allah ki rehmat
tere roza-e-paak ki mere khwaja ziarat yoon karte hein sub keh ke sunnat
khuda ne mohammad ko mairaj ki shar falak per bulaya savere savere
tasawwur se chehre ke khuwaja piya ke ujalon se ho ker ke bharpoor chamka
azan-e-seher jab howi sara ajmer nazdeek kya door se door chamka
khare the jo rozay mei behr-e-ziarat nigahon mein unki naya toor chamka
khuda ki kasam yeh haqiqat hai sehrai ke be-noor aankhon mein bhi noor chamka
tere dhoul e gumbad ko suraj ki kirno ne jab jagmagaya savere savere
--
بسم الله الرحمن الرحيم
اللهم صل على محمد واله وعترته بعد دا كل
معلو م لك
استغفر الله العظيم الذى لا اله الا هو الحى القيوم واتوب اليه
لا اله الا الله محمد رسول الله
قل هو الله احد الله الصمد لم يلد ولم يو لد ولم يكن له كفوا احد
اشهد ان لااله الا الله واشهد ان محمدا عبده ورسوله
ياهو هادى رب لا تذر على الارض قوما ظا لمين
--
--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "vupindi" group.
To post to this group, send email to vupindi@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
vupindi+unsubscribe@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/vupindi?hl=en
No comments:
Post a Comment