marne ka tere Gham meiN erada bhi nahi hai
hai ishq magar, itna ziyaada bhi nahi hai
hai yun k ibaadat ki zaba aur hai koi
kaghaz meri taqdeer ka sada bhi nahi hai
kyun dekhte rehte hain sitaron ki taraf hum
jab unse mulaqaat ka waada bhi nahi hai
kyun raah ke manzar meiNn ulajh jaati hain aankhen
jab dil mein koi aur eradah bhi nahi hai
kyun uski taraf dekh k paaon nahi uthte
wo shaKhS haseeN itna ziyaadah bhi nahiiN hai
kis morh pe le aaya hamen hijr-e-musalsal
taa hadd- e-nigaah wasl ka waada bhi nahi hai
pathar ki tarah sard hai kyun aankh kisi ki
Amjad jo bicharhne ka erada bhi nahi hai
With Best Regards,
Mohammad Iqbal,
H.R. Department ,
Nass The Group,
Manama,Kingdom Of Bahrain.
Phone : +97317725522
mobile : +97339056265
Fax : +97317826037
This e-mail is confidential and may contain legally privileged information. If you are not the intended recipient, you should not copy, distribute, disclose or use the information it contains, please e-mail the sender immediately and delete this message from your system. Note: e-mails are susceptible to corruption, interception and unauthorised amendment. Nass The Group, does not accept liability for any such changes, or for their consequences. You should be aware that we may monitor your e-mails and their content.
No comments:
Post a Comment