Abhi kuch din laggaiN gey
Dil Aisay shehr kay paamaal ho jaanay kaa manzar bhoolnay main
Abhi kuch din laggaiN gey
jahaan-e-Rung kay saaray Khus-O-Khaashaak,
sub suroo-O-Sanobar bhoolnay main
Abhi kuch din laggaiN gey
Thakay haaray huvay khwaabouN kay saahil par,
kaheeN ummeed kaa choTa saa Ek ghar
bantay bantay reh gaya hay
woh ik ghar bhoolnay maiN, Abhi kuch din laggain gey
magar abb din hee kitnay reh gaye hain
Buss, Ek din Dil kee Loh-e-Muntazir par
Achaanak
Raat utray gee
meri baynoor AankhouN kay khazaanay main
chuppay har khwaab kee takmeel
kar day gee
Mujhay bhee khwaab main tabdeel kar day gee
Ek aisa khwaab jiss kaa dekhnaa mumkin naheen thaa
Ek aisaa khwaab jiss kay daaman-e-sud chaak main koi Mubarak
koi roshan din nahain thaa
Abhi kuch din laggain gey

Lafzo ki justju me sab kuch ganwa diya
Wo chal diya main tarz-e-ada dhundhti rahi
Us ko kisi ne rab se lyia mang liya
aur
main Sajde me gir k harf-e-dua dhundhti rahi
--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "vupindi" group.
To post to this group, send email to vupindi@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
vupindi+unsubscribe@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/vupindi?hl=en
No comments:
Post a Comment