*1338...Aey Dil_e_ Gham Zahda...Pak Old*
Aey dil_e_gham zahda
Har sitam bhul ja
Hay agrche yehi
Zindagi ki ada
Gham main duuba huwa
Chand hay zard sa
Jagti aankh main
Khuwab hay duur ka
Yeh duniya rahe gi
Magar hum na hoon gey
Tere aur mere faasley
Kam na hoon gey
Gham rahe ga sada
Muj ko is baat ka
Teri yaad hi mili
Muj ko tu na mila
Jo shikwa kareen bhi
To kis se kareen gey
Yunhi duur hi duur
Jaltey raheen gey
Hum mileen gey wahan
Khatm ho ga jahan
Raat ka yeh safar
Dard ka raasta
Aey dil_e_gham zahda
Har sitam bhul ja
Hay agrche yehi
Zindagi ki ada
No comments:
Post a Comment