Thursday, 20 October 2011

[~>VU-P!nD!<~] 1330~*Woh Ajnabi Tha*~Pak Old....

1330~*Woh Ajnabi Tha*~Pak Old....
Woh ajnabi tha,gair tha,kis ne kaha na tha
Dil ko magar yaqeen kisi par huwa na tha

 

Hum ko to ehtiyaat gham dil azeez thi

Kuch is liye bhi kam nagehi ka gila na tha

 

Dast khiyal yaar se photye shafaq k rang

Naksh qadam bi rang hina k siwa na tha

 

Dhundha isse bohut k bolaya tha jis ne paas 

Jalwa magar kaheen bhi sadaa k siwa na tha

 

Kuch is qadar thi garmayi bazar aarzo

Dil jo kharidata tha isse dekhta na tha

 

Kaise kareen ge zikar habeeb jafa pasand

Jab name dostoon main bhi lena rawa na tha

 

Kuch yunhi  zard zard si "Naheed" aaj thi

Kuch oohrni ka rang bhi khilta huwa na tha
~@~@~R*u*k*h*s*a*n*a~@~@~

No comments:

Post a Comment