Sunday, 28 August 2011

[~>VU-P!nD!<~] wo jo mehev thay sar-e aaina,


a mystic waterfall animated graphic

wo jo mehev thay sar-e aaina, pas-e aaina bhi to dekhte
kabhi roshni mein wo teergi ko chhupa hua bhi to dekhte

sar-e aab jo raha tashna lab, to ye zabt-e gham ki hai inteha
meray haal pe jo thay nuqta cheen, mera hosla bhi to dekhte

wo utar gaye thay jo paar khud, mujhe beech bhanwar mein chhor kar
tha jo un mein itna hosla mujhe doobta bhi to dekhte

jinhein mujh se hai ye gila k mein raha be-nyaz-e khaloos-o-rabt
meray gird rasm-o riwaj ka kabhi daaira bhi to dekhte

wo meri hanssi se hain khush gumaan k nishat-e-zeest hai mudda'aa
meray ashk-e-ghum ka ruka hua kabhi qaafila bhi to dekhte

hoon saza kay baad bhi mohtaram to hain hairaton mein ye log kyun
zara zehr-e haq ka meri tarha kabhi zaiqa bhi to dekhte


--














main ny Allah ko apne 
iraadon ke totne se pehchana hai....!!





--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "vupindi" group.
To post to this group, send email to vupindi@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
vupindi+unsubscribe@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/vupindi?hl=en

No comments:

Post a Comment