Wafa meN ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai Woh sach kahay na kahay aaitebaar karna hai Yeh tujh ko jaagtay rahnay ka shouq kab say huaa? Mujhay to khair teraa intezaaar karna hai
Hawa ki zad meN jalanay haiN ansoN kay chiraagh Kabhi yeh jashan sar E rahguzaar karna hai
Woh muskura kay naye waswasoN meN daal gaya Khayaal tha K usay sharamsaar karna hai
Misaal E shaakh E barhana khizaN ke rut meN kabhi Khud apnay jism ko be – barg O baar karna hai
Teray firaaq meN din kiss tarah kattaiN apnay K shuGhal E shab to sitaray shumaar karna hai
Chalo yeh ashak hi moti samajh kay baich aayaiN Kissi tarah to hamaiN rozgaar karna hai
Kabhi to dil meN chhupay zakhm bhi numayaaN hoN Qaba samajh kay badan taar taar karna hai
Khuda khabar yeh koi zid K shouq hai 'Mohsin' Khud apni jaan kay dushman say payaar karna hai
|
--
"kisi ko apni Safai byan na kro
Q K jo tumko Pasand krta hy usko Safai ki zrurat nhi
or jo tumse Nafrat krta hy
wo kbi Yaqin nhi kre ga!!!"
**Hazrat ALI (R.A)**
Apply for Group Membership
--
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "vupindi" group.
To post to this group, send email to vupindi@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
vupindi+unsubscribe@googlegroups.com
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/vupindi?hl=en
No comments:
Post a Comment